mere andar
mere aage pichhe bhi main hun
zamanon ke sayon ki wusat sameTe
mera daera apne imkan ki had pe nauha-kunan hai
jahan dhund ke sath bahti hui maut
ab ek jangal banae khaDi hai
meri aankh mein munjamid KHauf tahlil hone ko tayyar hai
ye wo lamha hai
jis ki gawahi ki namkini mera halal badan hai
magar kya ye mere liye hai?
kisi aur ki aankh mein KHauf tahlil hone ko tayyar bhi hai?
mere andar
mere aage pichhe koi aur bhi hai?
jahan main khaDa hun
wahan maut ki ungliyan jangali KHauf bunne mein masruf hain
yahan se bahut dur
ek nil-gun jhil mein tairti machhliyan
apni aankhon ki hairaniyan
saf shaffaf, pani mein yun gholti hain
mere honT jaise kisi jism ke aaine ke tahayyur ko toDen
wahan koi taza hawaon ke dariya mein
tairak hone ki KHwahish jagata hai
lekin jahan main khaDa hun
wahan zindagi DhunDne ki mashaqqat (mashiyat)
hamein zinda rahne pe majbur to kar rahi hai
magar aasmanon pe nazren jamae hue
hum ko patthar chabane ka aadi banae hue
Nazm
Dhund se lipTa rasta
Qasim Yaqub