اردو हिंदी
Dharti ki sulagti chhati se bechain sharare puchhte hain | Shaahi Shayari
dharti ki sulagti chhati se bechain sharare puchhte hain

Nazm

Dharti ki sulagti chhati se bechain sharare puchhte hain

Sahir Ludhianvi

;

dharti ki sulagti chhati se bechain sharare puchhte hain
tum log jinhen apna na sake wo KHun ke dhaare puchhte hain

saDkon ki zaban chillati hai sagar ke kinare puchhte hain
ye kis ka lahu hai kaun mara ai rahbar-e-mulk-o-qaum bata

ye jalte hue ghar kis ke hain ye kaTte hue tan kis ke hain
taqsim ke andar tufan mein luTte hue gulshan kis ke hain

bad-baKHt fazaen kis ki hain barbaad nasheman kis ke hain
kuchh hum bhi sunen hum ko bhi suna

kis kaam ke hain ye din-dharm jo sharm ka daman chaak karen
kis tarah ke hain ye desh-bhagat jo baste gharon ko KHak karen

ye ruhen kaisi ruhen hain jo dharti ko napak karen
aankhen to uTha nazren to mila

jis ram ke nam pe KHun bahe us ram ki izzat kya hogi
jis din ke hathon laj luTe is din ki qimat kya hogi

insan ki is zillat se pare shaitan ki zillat kya hogi
ye wed haTa quran uTha

ye kis ka kaho hai kaun mera
ai rahbar-e-mulk-o-qaum bata