hum ki Thahre ajnabi itni mudaraaton ke baad
phir banenge aashna kitni mulaqaton ke baad
kab nazar mein aaegi be-dagh sabze ki bahaar
KHun ke dhabbe dhulenge kitni barsaton ke baad
the bahut bedard lamhe KHatm-e-dard-e-ishq ke
thin bahut be-mehr subhen mehrban raaton ke baad
dil to chaha par shikast-e-dil ne mohlat hi na di
kuchh gile shikwe bhi kar lete munajaton ke baad
un se jo kahne gae the 'faiz' jaan sadqe kiye
an-kahi hi rah gai wo baat sab baaton ke baad
Nazm
Dhaka se wapsi par
Faiz Ahmad Faiz