اردو हिंदी
Daur-e-uftadgi | Shaahi Shayari
daur-e-uftadgi

Nazm

Daur-e-uftadgi

Sajida Zaidi

;

naghmagi git harf-o-nawa
nala-e-shauq saut-o-sada

ek bahri siyasat ke darbar mein
sar-nigun pa-ba-zanjir lae gae

sara simab naqd-o-nazar
sab tilismat-e-harf-o-hunar

parda-e-sehr-o-asrar se TuT kar
maqtal-e-arzu ban gae

wo tarab-zar dil-e-qasr-e-gham
raat-bhar jagti aagahi yani

aqlim-jaan
mashinon ke khanDaraat mein kho gae

wo jo aahang-e-alam tha
KHwabon ka maskan tha aur harf-o-mani ki tathir tha

apni bedariyon ki saza kaTne ke liye
sang-o-ahan mein Dhaala gaya

sajda-e-haq
tamanna ke aafaq tak dard ke qafile

kaba-e-nur tak aabla-pai ke silsile
zar-e-maghrib ki mizan mein tul gae

hum ki is dasht mein aabla-pa the sadiyon se
is rah ke sang-e-mil

apne qadmon ke hamraaz the
hum bhi is daur-e-uftadgi mein

bas
tamasha-e-ahl-e-karam dekhte rah gae