dip jis ka mahallat hi mein jale
chand logon ki KHushiyon ko le kar chale
wo jo sae mein har maslahat ke pale
aise dastur ko subh-e-be-nur ko
main nahin manta main nahin jaanta
main bhi KHaif nahin taKHta-e-dar se
main bhi mansur hun kah do aghyar se
kyun Daraate ho zindan ki diwar se
zulm ki baat ko jahl ki raat ko
main nahin manta main nahin jaanta
phul shaKHon pe khilne lage tum kaho
jam rindon ko milne lage tum kaho
chaak sinon ke silne lage tum kaho
is khule jhuT ko zehn ki luT ko
main nahin manta main nahin jaanta
tum ne luTa hai sadiyon hamara sukun
ab na hum par chalega tumhaara fusun
chaaragar dardmandon ke bante ho kyun
tum nahin chaaragar koi mane magar
main nahin manta main nahin jaanta
Nazm
Dastur
Habib Jalib