dekh aae hum bhi do din rah ke dehli ki bahaar
hukm-e-hakim se hua tha ijtama-e-intishaar
aadmi aur jaanwar aur ghar muzayyan aur machine
phul aur sabza chamak aur raushni rail aur tar
kerosene aur barq aur petroleum aur tarpin
motor aur airplane aur jamghaTe aur eqtidar
mashriqi patlun mein thi KHidmat-guzari ki umang
maghribi shaklon se shan-e-KHud-pasandi aashkar
shaukat-o-iqbaal ke markaz huzur-e-emperor
zinat-o-daulat ki dewi empress aali-tabar
bahr-e-hasti le raha tha be-daregh angDaiyan
thames ki amwaj jamuna se hui thin ham-kanar
inqilab-e-dahr ke rangin naqshe pesh the
thi pae-ahl-e-basirat bagh-e-ibrat mein bahaar
zarre viranon se uThte the tamasha dekhne
chashm-e-hairat ban gai thi gardish-e-lail-o-nahaar
jame se bahar nigah-e-naz-e-fattahan-e-hind
hadd-e-qanuni ke andar honorablon ki qatar
KHarch ka total dilon mein chuTkiyan leta hua
fikr-e-zati mein KHayal-e-qaum ghaeb fil-mazar
dawaten inam speachen qawaid fauj camp
izzaten KHushiyan ummiden ehtiyaten e'tibar
pesh-rau shahi thi phir his-highness phir ahl-e-jah
baad is ke shaiKH sahab un ke pichhe KHaksar
Nazm
Darbar1911
Akbar Allahabadi