lafz
roz ug aate hain
jinhen main apne sine se khurach khurach kar
kaghaz par jama kar deta hun
taki unhen qata kiya ja sake
jo bhi mere lafz kaTta hai
us ke hathon par
mere lahu ki bund sarakne lagti hai
use mere KHun se pahchan liya jata hai
main in lafzon se
kuchh aur banana chahta tha
maslan ek daraKHt
jise main ek aurat ki kokh mein qaem kar sakta
aur mere lahu ki bund
us ke ruKHsaron mein numayan ho sakti
jo daraKHt kaT diye jate hain
un mein se kisi ke tane se
KHun ubalne lagta hai
mere sine par jitne baal uge
koi aurat un ki jaDen sungh kar
meri mohabbat ki gawahi de sakti thi
mere sine par jitne baal uge
un se main ek lafz banana chahta tha
taki aurten apni bhuk ko ek nam de saken
mere sine par jitne lafz uge
un se main kuchh aur banana chahta tha
maslan ek daraKHt
jise kaT diya jae
to us se mera KHun ubalne lage

Nazm
DaraKHt
Syed Kashif Raza