bas itni rudad hai meri
ishq mein KHana-KHarab hua main
un ki aankhon ka tha ishaara
waqf-e-jam-o-sharab hua main
zulmat-e-sham-e-alam kam karne
apne hi ghar mein aag laga di
main ne kufr-e-junun ke hathon
mamlakt-e-kaunain ganwa di
dard-e-wafa ko shohrat de di
mahfil mahfil ghazal suna kar
zaKHmon ke gul-daste beche
gali gali aawaz laga kar
des des phailai kahani
apni wafa ki un ki jafa ki
dhajji dhajji ruswa kar di
apne gareban un ki qaba ki
dil ke lahu se kitne aansu
chamka chamka kar chhalkae
reza reza kanch ke sapne
liye phira palkon pe uThae
kabhi to KHud roya mahfil mein
kabhi unhen KHalwat mein rulaya
un ki ek ek yaad ko samjha
ruh o dil o jaan ka sarmaya
un se jo gham mila us gham ko
ek saughat-e-wafa Thahraya
duniya ki ek ek uljhan ko
un ki zulfon se uljhaya
un ki qamat ka afsana
dar talak main ne pahunchaya
un ke liye sau jaan se main ne
maut ko apne gale lagaya
har ek sar ko un ka sauda
har ek shauq ko wahshat de di
har ek dil ko un ki tamanna
har sine ko hasrat de di
bas itni rudad hai meri
ishq mein KHana-KHarab hua main
kisi shahr mein kisi hajar mein
farsh-e-zamin par arsh-e-barin par
kisi sitare kisi qamar mein
aalam-e-arz-o-sama mein kahin par
kash koi wo hasti hoti
jis ko ye rudad sunata
bojh gunahon ka hai dil par
aaj ki shab halka ho jata
us se kash ye kah sakta main
aalam-e-kul tujh se kya parda
kizb-e-mukammal hai ye kahani
ye sara afsana jhuTa
main ne KHud hi tarasha ye but
aur us but ko KHudai de di
mujh ko bhi is par sach ka guman hai
jhuT ko wo ranai de di
aaina-KHanon mein rangon ke
apni hi surat ko saraha
apni hi taKHliq ko puja
apni hi talbis ko chaha
dil ke mahram ruh ke shahid!
jhuT aur sach pahchanne wale
main ne unhen dekha bhi nahin hai
meri haqiqat jaanne wale!
mere KHair-o-shar ke muhasib
tujh par to sab kuchh raushan hai
meri saza jaza ke malik
mera jurm ye mera fan hai
apni tamanna ka mulzim hun!
main in KHwabon ka mujrim hun!
Nazm
Confession
Aziz Qaisi