chyunTiyan zamin par kitne kos chalti hongi
aur kitni hamare pairon tale aa kar masal jati hongi
is ka shumar nahin
lekin jab ye hamare badan par chalti hain
to hum unhen gin sakte hain
in ki masafat ka andaza laga sakte hain
tum apne badan par kaTti chyunTi ko
kaise alag karte ho
ye chyunTi bata sakti hai
ya is ke TuTe hue aaza
tum chiyunTiyon ke gharon ke bare mein
is se zyaada nahin jaan sakte
ki wo darwazon ki riKHon
ya diwaron ki daraDon mein rahti hain
ya raat bhar chalti rahti hain
lekin tum ye nahin jaan sakte
ye kahan mil baiThti hain
kahan KHufiya meetingen karti hain
lekin jab tum shahd ke martaban shakar ke Dabbe
ya gosht ke TukDe ki tarah
in ke khane ka zaKHira ban jaoge
to wo an-ginat jama ho kar
tumhaare an-ginat TukDon ko aapas mein banT lengi
aur tumhein darwaze ki riKHon
aur diwaron ki daraDon ke andaruni hisse dikhaengi
aur wo goshe bhi
jahan unhon ne KHufiya meetingen ki thin

Nazm
ChyunTiyan
Saeeduddin