(2)
chhalni hai andhere ka sina, barkha ke bhaale barse hain
diwaron ke aansu hain rawan ghar KHamoshi mein Dube hain
pani mein nahae hain buTe
galiyon mein hu ka phera hai
'chopin' ka naghma bajta hai
ek gham-gin laDki ke chehre par chand ki zardi chhai hai
jo barf giri thi is pe lahu ke chhinTon ki rushnai hai
KHun ka har dagh damakta hai
'chopin' ka naghma bajta hai
kuchh aazadi ke matwale, jaan kaf pe liye maidan mein gae
har-su dushman ka nargha tha, kuchh bach nikle, kuchh khet rahe
aalam mein un ka shohra hai
'chopin' ka naghma bajta hai
ek kunj ko sakhiyan chhoD gain aakash ki nili rahon mein
wo yaad mein tanha roti thi, lipTae apni bahon mein
ek shahin us par jhapTa hai
'chopin' ka naghma bajta hai
gham ne sanche mein Dhaala hai
ek bap ke patthar chehre ko
murda beTe ke mathe ko
ek man ne ro kar chuma hai
'chopin' ka naghma bajta hai
phir phulon ki rut lauT aai
aur chahne walon ki gardan mein jhule Dale bahon ne
phir jharne nache chhan chhan chhan
ab baadal hai na barkha hai
'chopin' ka naghma bajta hai
Nazm
Chopin ka naghma bajta hai
Faiz Ahmad Faiz