chala aa raha hun samundaron ke visal se
kai lazzaton ka sitam liye
jo samundaron ke fusun mein hain
mera zehn hai wo sanam liye
wahi reg-zar hai samne
wahi reg-zar ki jis mein ishq ke aaine
kisi dast-e-ghaib se TuT kar
rah-e-tar-e-jaan mein bikhar gae!
abhi aa raha hun samundaron ki mahak liye
wo thapak liye jo samundaron ki nasim mein
hai hazar rang se KHwab-ha-e-KHunuk liye
chala aa raha hun samundaron ka namak liye
ye barahnagi-e-azim teri dikhaun main
(jo gada-gadi ka bahana hai)
koi rah-rau ho to us se rah ki dastan
main sunun fasana samundaron ka sunaun main
(ki samundaron ka fasana ishq ki gastarash ka fasana hai)
ye barahnagi jise dekh kar baDhen dast o pa na khule zaban
na KHayal hi mein rahe tawan
to wo reg-zar ki jaise rah-zan-e-pir ho
jise tab-e-rah-zani na ho
ki misal-e-taer-e-nim-jaan
jise yaad-e-baal-o-pari na ho
kisi rah-rau se umid-e-rahm-o-karam liye
main bhara hua hun samundaron ke jalal se
chala aa raha hun main sahilon ka hasham liye
hai abhi inhi ki taraf mera dar-e-dil khula
ki nasim-e-KHanda ko rah mile
meri tirgi ko nigah mile
wo surur-o-soz-e-sadaf abhi mujhe yaad hai
abhi chaTti hai samundaron ki zaban mujhe
mere panw chhu ke nikal gai koi mauj-e-saz ba-kaf abhi
wo halawaten mere hast o bud mein bhar gain
wo jazire jin ke ufuq hujum-e-sahar se did-bahaar the
wo parinde apni talab mein jo sar-e-kar the
wo parinde jin ki safir mein thin risalaten
abhi us safir ki jalwaten mere KHun mein hain
abhi zehn hai wo sanam liye
jo samundaron ke fusun mein hain
chala aa raha hun samundaron ke jamal se
sadaf o kanar ka gham liye
Nazm
Chala aa raha hun samundaron ke visal se
Noon Meem Rashid