ashnan karne ghar se chale lala-lal-chand
aur aage aage lala ke un ki bahu gai
puchha jo main ne lala lallain kahan gain
nichi nazar se kahne lage wo bhi chu gai
main ne diya jawab unhen az-rah-e-mazaq
kya wo bhi koi chhat thi ki barish se chu gai
kahne lage ki aap bhi hain masKHare ajab
ab tak bhi aap se na tamasKHur ki KHu gai
chu hoshiyar par main nadi se hai ye murad
bibi tamiz bhi hain wahin karne wuzu gai
main ne kaha ki chu se agar hai murad ju
phir yun kaho ki ta-ba-lab-e-ab-ju gai
kyun ainThe hain mash ke aaTe ki tarah aap
dhoti se aap ki nahin haldi ki bu gai
lutf-e-zaban se kya ho sarokar aap ko
daman ko aap ke nahin tahzib chhu gai
hindi ne aa ke jim kuche se badal diya
chu aai kohsar se gulshan se ju gai
lahja hua durusht zaban ho gai karaKHt
lutf-e-kalam-o-shistagi-e-guftugu gai
mani ko hai gila ki hua be-hijab main
shikwa hai lafz ko ki meri aabru gai
afsos mulk mein na rahi farsi ki qadr
masti uDi sharab se phulon ki bu gai
Nazm
Chu ki lafzi tahqiq
Zafar Ali Khan