tu ne kyun apne galon pe sarson mali
tu ne kyun apni aankhon mein chuna bhara
teri goyai kis dasht ke bheDiye le gae
bolta kyun nahin
bolta kyun nahin tifl-e-masum to kab se bimar hai
kaisa aazar hai jis ne teri shabon se teri nind tere dinon se
khilaune churae
tu soya nahin hai magar jagta kyun nahin
dekhta kyun nahin tere baba ke baalon mein khujli hai aur ungliyan jhaD chuki hain
hisab-e-shab-o-roz karte hue
teri amman ke rasha-zada hath KHush-haaliyan DhunDte DhunDte
in dhule bartanon mein paDe rah gae
subh-e-tabir ne shaKH par sabz hone ki hasrat likhi
aankh ko motiya de diya
dekhta kyun nahin aaj bazar mein jashn-e-iflas hai
shahr ki bhuk chori hui
aur KHabron ne aKHbar gum kar diya
log rote rahe
log hanste rahe
tere bistar pe ashkon ki champa khili
aur tu chup raha
tere mathe pe muskan ka itr chhiDka gaya
aur tu chup raha
meri hanDiya jali
mera chulha bujha
meri jholi se harf-e-dua gir gaya
mere bachche tu lab kholta kyun nahin
bolta kyun nahin

Nazm
Bolta kyun nahin
Javaid Anwar