bol ki lab aazad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
tera sutwan jism hai tera
bol ki jaan ab tak teri hai
dekh ki aahan-gar ki dukan mein
tund hain shoale surKH hai aahan
khulne lage quflon ke dahane
phaila har ek zanjir ka daman
bol ye thoDa waqt bahut hai
jism o zaban ki maut se pahle
bol ki sach zinda hai ab tak
bol jo kuchh kahna hai kah le
Speak
Speak, your lips are free,
speak, your tongue is still yours,
your slim body is yours alone,
speak, this life is yours, still yours.
Nazm
Bol
Faiz Ahmad Faiz