Biwi ke huzur | Shaahi Shayari
biwi ke huzur

Nazm

Biwi ke huzur

Roohi Kanjahi

;

ishq ka nas karogi mujhe malum na tha
mere palle hi paDogi mujhe malum na tha

ek mahine mein kamata hun jo tanKHwah use
KHarch hafte mein karogi mujhe malum na tha

main ne khai thi qasam khaunga bas rizq-e-halal
tum bhi ahmaq hi kahogi mujhe malum na tha

sher ki tarah sada arz karunga KHud ko
tum sada hukm hi dogi mujhe malum na tha

jo sunaogi sununga main hamesha lekin
sher tak tum na sunogi mujhe malum na tha

zindagi hi mein mujhe dekhna hoga ye din
mujh ko marhum likhogi mujhe malum na tha

sari dafat hi ho jaengi lagu mujh par
itne ilzam dharogi mujhe malum na tha

id ke din bhi wahi jang ka naqsha hoga
id ke din bhi laDogi mujhe malum na tha

saKHt-jaani mein bhi niklogi misali yani
mar kar mujh ko marogi mujhe malum na tha

pata hota to na karta kabhi koi neki
tumhin jannat mein milogi mujhe malum na tha