khujuron ke peDon se thoDa sa upar
jawan mustaid chand
tanha khaDa
mere ghar mere shahr ki pahra-dari mein masruf tha
chand ki narm doshiza kirnen
mere waste nind ka jal sa bun rahi thin
achanak fazaon mein anqarib chiKHe
zamin ki taraf bhuki chilon ki manind jhapTe
jhapaTte rahe
zaman-o-makan ek lamhe pe aa kar Thahar se gae
usi ek lamhe ne sari faza par
kisi buDhi bewa ki chadar uDa di
ki jis mein faqat maut ki hasraten thin
aur agle hi lamhe ne baDh kar sada di
ye lamha jo hum se bichhaD kar gira hai
hamara nahin tha

Nazm
BichhDa lamha
Syed Iqbal Gilani