bhale dinon ki baat hai
bhali si ek shakl thi
na ye ki husn-e-tam ho
na dekhne mein aam si
na ye ki wo chale to kahkashan si rahguzar lage
magar wo sath ho to phir bhala bhala safar lage
koi bhi rut ho us ki chhab
faza ka rang-rup thi
wo garmiyon ki chhanw thi
wo sardiyon ki dhup thi
na muddaton juda rahe
na sath subh-o-sham ho
na rishta-e-wafa pe zid
na ye ki izn-e-am ho
na aisi KHush-libasiyan
ki sadgi gila kare
na itni be-takallufi
ki aaina haya kare
na iKHtilat mein wo ram
ki bad-maza hon KHwahishen
na is qadar supurdagi
ki zach karen nawazishen
na aashiqi junun ki
ki zindagi azab ho
na is qadar kaThor-pan
ki dosti KHarab ho
kabhi to baat bhi KHafi
kabhi sukut bhi suKHan
kabhi to kisht-e-zafaran
kabhi udasiyon ka ban
suna hai ek umr hai
muamalat-e-dil ki bhi
visal-e-jaan-faza,n to kya
firaq-e-jaangusil ki bhi
so ek roz kya hua
wafa pe bahs chhiD gai
main ishq ko amar kahun
wo meri zid se chiD gai
main ishq ka asir tha
wo ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke sath ko
wo bad-tar-az-hawas kahe
shajar hajar nahin ki hum
hamesha pa-ba-gil rahen
na Dhor hain ki rassiyan
gale mein mustaqil rahen
mohabbaton ki wusaten
hamare dast-o-pa mein hain
bas ek dar se nisbaten
sagan-e-ba-wafa mein hain
main koi panting nahin
ki ek frame mein rahun
wahi jo man ka mit ho
usi ke prem mein rahun
tumhaari soch jo bhi ho
main us mizaj ki nahin
mujhe wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahin
na us ko mujh pe man tha
na mujh ko us pe zoam hi
jo ahd hi koi na ho
to kya gham-e-shikastagi
so apna apna rasta
hansi-KHushi badal diya
wo apni rah chal paDi
main apni rah chal diya
bhali si ek shakl thi
bhali si us ki dosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar kabhi kabhi
Nazm
Bhali si ek shakl thi
Ahmad Faraz