ek din mujh se ye farmane lagi biwi meri
meri sautan ban gai hai aap ki ye shaeri
wo ye kah kar mujh se karti hai hamesha ehtijaj
shaeri se aap ki hota hai mujh ko iKHtilaj
sochti hun kis tarah hoga hamara ab nibah
mujh ko roTi chahiye aur aap ko bas wah wah
mujh ko rahti hai sada bachchon ke mustaqbil ki dhun
aap baiThe kar rahe hain faelatun faelun
raat kafi ho chuki hai nind mein bachche hain dhut
aap yun sakit hue baiThe hain jaise koi but
main ye kahti hun chuka dije jo pichhla qarz hai
aap apni dhun mein kahte hain ki matla arz hai
main ye kahti hun ki dekha kijiye mauqa-mahal
chheD dete hain kahin bhi ghair-matbua ghazal
man leti hun main chaliye aap hain shaer great
shaeri se bhar nahin sakta magar bachchon ka peT
apne hindustan mein murda-parasti aam hai
jitne shaer mar chuke hain bas unhin ka nam hai
jab talak zinda rahe paise na the karne ko KHarch
mar gae to ho rahi hai mirza-'ghaalib' par research
main ye bola band kar apna ye ba-huda kalam
tujh ko kya malum kya hai ek shaer ka maqam
jhuT hai shamil tasanno hai na kuchh is mein darogh
shaeri se pa rahi hai aaj bhi urdu farogh
hun sana-KHwan main 'figar'-o-'saghar'-o-'shahbaz' ka
ruKH badal Dala jinhon ne sher ke parwaz ka
Nazm
Begam aur shaeri
Nashtar Amrohvi