اردو हिंदी
Be-nishan | Shaahi Shayari
be-nishan

Nazm

Be-nishan

Injila Hamesh

;

hamein qayamat ki nishaniyon mein ye nahin bataya gaya
ki wo mard napaid ho jaenge

jinhen KHuda ne ek darje upar rakha
zara un maon ke dudh ko jaancho

is ko pi ke parwan chaDhne wala bachcha
be-kirdar ho jata hai

kisi hijDe ya zanKHe pe lan-tan mat karo
wo apne siwa kisi ka mazaq nahin uData

aur ab aane wali sadiyon mein
jo naslen paida hongi

wo kisi zanKHe ya hijDe se ziyaada qabil-e-rahm hongi
so hamein mat dikhao ye hasab-nasab

hum ne ye sare ghurur nadi nalon mein bahte hue dekhe hain
hamein qayamat ki nishaniyon mein ye nahin bataya gaya

ki ek waqt aisa aaega
jab kisi ki koi shanaKHt nahin hogi