safar mein hun aur ruka khaDa hun
main chaaron samton mein chal raha hun magar kahan hun
wahin jahan surKH raushnai ka ek qatra
kisi qalam ki kasif nib se Tapak paDa hai
main KHud bhi shayad kisi qalam se gira hua ek surKH qatra hun
zindagi ki sajal jabin par chamakti bindiya si ban gaya hun
magar main bindiya nahin hun shayad ki wo to taqdis ka nishan hai
dilon ke dhagon ki ek girah hai
girah jo sadiyon mein banne wale hasin rishton ka aashram hai
jo aane wale taDapti sadiyon ki ibtida hai
girah to junction hai pTriyon ka musafiron ka nai-naweli rafaqaton ka
mohabbaton ka aziyyaton ka
magar main tanha hun be-karan wusaton mein tanha
safed mazi safed farda safed ye lamha-e-ibaadat
ki jis pe koi nahin ibarat
safed mathe pe surKH dhabba hun
ibtida intiha ke dhagon se kaT chuka hun
main surKH dhabba hun
kapkapate latif akson ka silsila hun
tamam chehre jo tere andar se jhankte hain
mere hi chehre ki jhalkiyan hain
mere hi sine ki dhaDkanen hain
ye tez rangon ke tund dariya
jo dukh ke koh-e-giran se ras kar
zamin ki banjar udas si saltanat ko chhu kar
us ek be-ant surKH nuqte ke bahr-e-zulmat mein gire hain
mere hi be-nam dast-o-pa hain
ye jagmagati si kahkashaen jo ibtida se
KHala ki zulmat mein qaid bahar ko uD rahi hain
girhen bani hain
wahin khaDi hain
wahin jahan surKH raushnai ka ek qatra
kisi qalam ki kasif nib se Tapak paDa hai
wo ek qatra jo mera dil hai
jo mere akson ka silsila hai
jo mere hone se surKH-ru hai
jo meri pa-basta aarzu hai
Nazm
Be-karan wusaton mein tanha
Wazir Agha