tere bistar pe meri jaan kabhi
be-karan raat ke sannaTe mein
jazba-e-shauq se ho jate hain aaza madhosh
aur lazzat ki giran-bari se
zehn ban jata hai daldal kisi virane ki
aur kahin is ke qarib
nind, aaghaz-e-zamistan ke parinde ki tarah
KHauf dil mein kisi mauhum shikari ka liye
apne par taulti hai, chiKHti hai
be-karan raat ke sannaTe mein!
tere bistar pe meri jaan kabhi
aarzuen tere sine ke kuhistanon mein
zulm sahte hue habshi ki tarah rengti hain!
ek lamhe ke liye dil mein KHayal aata hai
to meri jaan nahin
balki sahil ke kisi shahr ki doshiza hai
aur tere mulk ke dushman ka sipahi hun mein
ek muddat se jise aisi koi shab na mili
ki zara ruh ko apni wo subuk-bar kare!
be-panah aish ke haijaan ka arman le kar
apne daste se kai roz se mafrur hun main!
ye mere dil mein KHayal aata hai
tere bistar pe meri jaan kabhi
be-karan raat ke sannaTe mein!
Nazm
Be-karan raat ke sannaTe mein
Noon Meem Rashid