ye barsat ye mausam-e-shadmani
KHas-o-KHar par phaT paDi hai jawani
bhaDakta hai rah rah ke soz-e-mohabbat
jhama-jham barasta hai pur-shor pani
faza jhumti hai ghaTa jhumti hai
daraKHton ko zau barq ki chumti hai
thirakte hue abr ka jazb tauba
ki daman uThae zamin ghumti hai
kaDakti hai bijli chamakti hain bunden
lapakta hai kaunda damakti hain bunden
rag-e-jaan pe rah rah ke lagti hain choTen
chhama-chham KHala mein khanakti hain bunden
falak ga raha hai zamin ga rahi hai
kaleje mein har lai chubhi ja rahi hai
mujhe pa ke is mast shab mein akela
ye rangin ghaTa tir barsa rahi hai
chamakta hai bujhta hai tharra raha hai
bhaTakne ki jugnu saza pa raha hai
abhi zehn mein tha ye raushan taKHayyul
faza mein jo uDta chala ja raha hai
lachak kar sambhalte hain jab abr-pare
baraste hain daman se dum-dar tare
machalti hai rah rah ke baalon mein bijli
gulabi hue ja rahe hain kinare
faza jhum kar rang barsa rahi hai
har ek sans shoala bani ja rahi hai
kabhi is tarah yaad aati nahin thi
wo jis tarah is waqt yaad aa rahi hai
bhala lutf kya manzar-e-pur-asar de
ki ashkon ne aankhon pe Dale hain parde
kahin aur ja kar baras mast baadal
KHuda tera daman jawahir se bhar de
Nazm
Barsat ki ek raat
Kaifi Azmi