hai dilati yaad mai-noshi faza barsat ki
dil baDha jati hai aa aa kar ghaTa barsat ki
bandh gai hai rahmat-e-haq se hawa barsat ki
nam khulne ka nahin leti ghaTa barsat ki
ug raha hai har taraf sabza dar-o-diwar par
intiha garmi ki hai aur ibtida barsat ki
dekhna sukhi hui shaKHon mein bhi jaan aa gai
haq mein paudon ke masiha hai hawa barsat ki
hon sharik-e-bazm-e-mai zahid bhi tauba toD kar
jhumti qible se uTThi hai ghaTa barsat ki
asl to ye hai mai-o-mashuq ka jab lutf hai
chandni ho raat ko din ko ghaTa barsat ki
wo papihon ki sadaen aur wo moron ka raqs
wo hawa-e-sarw aur kali ghaTa barsat ki
par utar jaenge bahr-e-gham se rind-e-baada-nosh
le uDegi kashti-e-mai ko hawa barsat ki
KHud-baKHud taza umangen josh par aane lagin
dil ko garmane lagi ThanDi hawa barsat ki
wo duaen mai-kashon ki aur wo lutf-e-intizar
hae kin nazon se chalti hai hawa barsat ki
main ye samjha abr ke rangin TukDe dekh kar
taKHt pariyon ke uD lai hawa barsat ki
naz ho jis ko bahaar-e-misr-o-sham-o-rum par
sar-zamin-e-hind mein dekhe faza barsat ki
Nazm
Barsat
Chakbast Brij Narayan