aasman par chha raha hai abr-paron ka hujum!
nau-bahaaron ka hujum
aah ye rangin aawara nazaron ka hujum
kohsaron ka hujum
badliyan hain ya kisi ke bhule-bisre KHwab hain
be-KHud o betab hain!
ya hawa par tairta hai rud-baron ka hujum
aabshaaron ka hujum
phirti hain aawara matwali ghaTaen is tarah
aur hawaen is tarah
jhumta phirta ho jaise mai-gusaron ka hujum
baada-KHwaron ka hujum
wadi-e-ganga hai, barkha-rut hai, kali raat hai
raat hai barsat hai
aur faza mein tairne wale nazaron ka hujum
nashsha-zaron ka hujum
nil-gun pariyan ufuq mein par hain phailae hue
baal bikhrae hue
ya umanD aaya hai sawan ki bahaaron ka hujum
abr-paron ka hujum
nannhi nannhi bunden girti hain hijab-e-abr se
ya naqab-e-abr se
chhan raha hai qatre ban ban kar sitaron ka hujum
nur-paron ka hujum
ye ghaTaen hain ki KHwabon ke safine hain rawan
be-qarine hain rawan
baadbanon mein chhupae chashma-saron ka hujum
ju-e-baron ka hujum
bijli hai ya nur ki zanjir lahrai hui
pech-o-KHam khai hui
ya KHamida marmarin phulon ke haaron ka hujum
aur sitaron ka hujum
ye saman bijli ka ye mahtab ki si wadiyan
KHwab ki si wadiyan
nashshe mein bhiga hua ye sabza-zaron ka hujum
kohsaron mein KHushi ki bastiyan aabaad hain
mastiyan aabaad hain
chaar-su bikhra paDa hai sabza-zaron ka hujum
margh-zaron ka hujum
yun nazar aate hain kohsar-e-masuri dur se
mast se maKHmur se
jun samundar se jaziron ki qataron ka hujum
sabza-zaron ka hujum
ye safar, ye raat, ye barsat aur phir ham-safar
al-aman o al-hazar
ek husn-e-yasmin rangin bahaaron ka hujum
mah-paron ka hujum
ye suhane manzar aKHtar muddaton yaad aaenge
muddaton taDpayenge
aah ye raat, uf ye mastana nazaron ka hujum
ye bahaaron ka hujum
Nazm
Barkha-rut
Akhtar Shirani