wo bachchi gum-shuda hairat se aasar-e-qadima wala safha khaul kar
school ki book paDh rahi hai
use malum hi kab hai
jise nirwan milta hai
wo sadiyan oDh kar safhon mein buddha ban ke rahta hai
wo paDhte paDhte jab taswir par nazren jamati hai
to us ko, aankh ke halqon mein murda KHwahishon ki zardiyan mahsus hoti hain
ghane bargad ke sae mein paDe rahne se
us ki gal pe suraj ka bosa hi nahin hai
us ke sar ke baal ki sab tazgi jangal ke sabze mein paDi hai
use buddha pe raham aaya
wo bachchi hath mein pencil pakaD kar sochti hai
aur phir taswir ke upar
lakiren khinch kar monchhen banati hai
aur is tabdili se andar hi andar muskuraati hai
ki jaise us ne danish ki sabhi kamzoriyan
apni lakiron se chhupa di hain
use malum hi kab hai
ki us ke hath ki jumbish ne andar ki
sabhi aalaishen chehre pe rakh di hain
wo jin ko jism se aazad kar ke ek arse se tyagi tha
ab aasar-e-qadima wale safhe par 'danaya' aur 'sata' ke koi mafhum hi baqi nahin hain
zara monchhen banane se sabhi dukh miT gae hain
marg' ki koi zarurat hi nahin
buddha kapilwastu ka shahzada dobara ban gaya hai
Nazm
Bargad se wapsi
Qasim Yaqub