Tuk hirs-o-hawa ko chhoD miyan mat des bides phire mara
qazzaq ajal ka luTe hai din raat baja kar naqqara
kya badhiya bhainsa bail shutur kya gu mein palla sar-bhaara
kya gehun chanwal moTh maTar kya aag dhuan aur angara
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
gar to hai lakkhi banjara aur khep bhi teri bhaari hai
ai ghafil tujh se bhi chaDhta ek aur baDa biyopari hai
kya shakkar misri qand gari kya sanbhar miTha khaari hai
kya dakh munaqqa sonTh mirach kya kisar laung supari hai
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
tu badhiya lade bail bhare jo purab pachchham jawega
ya sud baDha kar lawega ya TuTa ghaTa pawega
qazzaq ajal ka raste mein jab bhaala mar girawega
dhan daulat nati pota kya ek kumba kaam na aawega
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
har manzil mein ab sath tere ye jitna Dera-DanDa hai
zar dam-diram ka bhanDa hai banduq sipar aur khanDa hai
jab nayak tan ka nikal gaya jo mulkon mulkon hanDa hai
phir hanDa hai na bhanDa hai na halwa hai na manDa hai
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
jab chalte chalte raste mein ye gaun teri rah jawegi
ek badhiya teri miTTi par phir ghas na charne aawegi
ye khep jo tu ne ladi hai sab hisson mein baT jawegi
dhi put janwai beTa kya banjaran pas na aawegi
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
ye khep bhare jo jata hai ye khep miyan mat gin apni
ab koi ghaDi pal saat mein ye khep badan ki hai kafani
kya thaal kaTori chandi ki kya pital ki Dibya-Dhakni
kya bartan sone chandi ke kya miTTi ki hanDiya chini
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chale ga banjara
ye dhum-dhaDkka sath liye kyun phirta hai jangal jangal
ek tinka sath na jawega mauquf hua jab ann aur jal
ghar-bar aTari chaupari kya KHasa nain-sukh aur malmal
chalwan parde farsh nae kya lal palang aur rang-mahal
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
kuchh kaam na aawega tere ye lal-o-zamurrad sim-o-zar
jab punji baT mein bikhregi har aan banegi jaan upar
naubat naqqare ban nishan daulat hashmat faujen lashkar
kya masnad takiya mulk makan kya chauki kursi taKHt chhatar
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
kyun ji par bojh uThata hai in gaunon bhaari bhaari ke
jab maut ka Dera aan paDa phir dune hain bayopari ke
kya saz jaDau zar-zewar kya goTe than kanari ke
kya ghoDe zin sunahri ke kya hathi lal amari ke
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
mafrur na ho talwaron par mat phul bharose Dhaalon ke
sab paTTa toD ke bhagenge munh dekh ajal ke bhaalon ke
kya Dabbe moti hiron ke kya Dher KHazane malon ke
kya bughche tash moshajjar ke kya taKHte shaal doshaalon ke
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
kya saKHt makan banwata hai KHam tere tan ka hai pola
tu unche coat uThata hai wan gor gaDhe ne munh khola
kya reni KHandaq rand baDe kya brij kangora anmola
gaDh coat rahkalla top qila kya shisha daru aur gola
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
har aan nafa aur ToTe mein kyun marta phirta hai ban ban
Tak ghafil dil mein soch zara hai sath laga tere dushman
kya launDi bandi dai dawa kya banda chela nek-chalan
kya mandar masjid tal kuan kya kheti baDi phul chaman
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
jab marg phira kar chabuk ko ye bail badan ka hankega
koi naj sameTega tera koi gaun siye aur Tankega
ho Dher akela jangal mein tu KHak lahad ki phankega
us jangal mein phir aah 'nazir' ek tinka aan na jhankega
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
Nazm
Banjara-nama
Nazeer Akbarabadi