jahan-e-kohna ke mafluj falsafa-dano
nizam-e-nau ke taqaze sawal karte hain
ye shahrahen isi waste bani thin kya
ki in pe des ki janta sisak sisak ke mare
zamin ne kya isi karan anaj ugla tha
ki nasl-e-adam-o-hawwa bilak bilak ke mare
milen isi liye resham ke Dher bunti hain
ki duKHtaran-e-watan tar tar ko tarsen
chaman ko is liye mali ne KHun se sincha tha
ki us ki apni nigahen bahaar ko tarsen
zamin ki quwwat-e-taKHliq ke KHuda-wando
milon ke muntazimon saltanat ke farzando
pachas lakh fasurda gale-saDe Dhanche
nizam-e-zar ke KHilaf ehtijaj karte hain
KHamosh honTon se dam toDti nigahon se
bashar bashar ke KHilaf ehtijaj karte hain
Nazm
Bangal
Sahir Ludhianvi