mere shahr ke sare raste band hain logo
main is shahr ka naghma-gar
jo do ek mausam ghurbat ke dukh jhel ke aaya
taki apne ghar ki diwaron se
apni thaki hui aur tarsi hui
aankhen sahlaun
apne darwaze ke utarte roghan ko
apne ashkon se saiqal kar lun
apne chaman ke jale hue paudon
aur gard-alud daraKHton ki
murda shaKHon par bain karun
har mahjur sutun ko itna TuT ke chumun
mere labon ke KHun se
un ke naqsh-o-nigar sabhi ji uThen
gali ke logon ko itna dekhun
itna dekhun
meri aankhen
barson ki tarsi hui aankhen
chehron ke aangan ban jaen
phir main apna saz uThaun
aansuon aur muskanon se jhilmil jhilmil
nazmen ghazlen git sunaun
apne pyaron
dard ke maron ka darman ban jaun
lekin mere shahr ke sare raston par
ab baD hai lohe ke kanTon ki
shah darwaze par kuchh pahre-dar khaDe hain
jo mujh se aur mujh jaise dil walon ki
pahchan se aari
mere saz se
sanginon se baat karen
main un se kahta hun
dekho
main is shahr ka naghma-gar hun
barson baad kaDi rahon ki
sari aziyyat jhel ke ab wapas aaya hun
us miTTi ki KHatir
jis ki KHushbuen
duniya bhar ki do-shizaon ke jismon ki mahkon se
aur sare jahan ke
sabhi gulabon se
baDh kar hai
mujh ko shahr mein
mere shahr mein jaane do
lekin tane hue nezon ne
mere jism ko yun barmaya
mere saz ko yun rezaya
mera humakta KHun aur mere sisakte naghme
shah-darwaze ki dahliz se
riste riste
shahr ke andar ja pahunche hain
aur main apne jism ka malba
saz ka lasha
apne shahr ke shah-darwaze
ki dahliz pe chhoD ke
phir anjaane shahron ki shahrahon par
majbur-e-safar hun
jin ko taj kar ghar aaya tha
jin ko taj kar ghar aaya tha
Nazm
Ban-bas
Ahmad Faraz