sarma ki be-rahm faza mein
surKH lahu ne bahte bahte
hairani se
tapti hui is KHak ko dekha
abhi to main in nili garm ragon mein
kaise dauD raha tha
bujhti hui ek sans ki lau ne
apne nanhe jiwan ki
is aaKHiri tez kaTili hichki ko jhaTka
do KHali nazren
dur dhuwen ke par
kahin kuchh DhunD rahi thin
abhi abhi to nila ambar
bahen khole tana khaDa tha
mandi mandi si dhup
yahan kone mein aa kar leT gai thi
phir kis ne is jite-jagte
manzar mein ye aag bhari hai
kali faza mein uDte reshe
aadhi-adhuri be-bas lashen
surKH lahu ne hairani se
jale hue manzar ko dekha
aaKHiri tez kaTili hichki
TuT rahi thi
Nazm
Bam dhamaka
Gulnaz Kausar