ye aurat is liye paida hui hai 
ki is ko TukDe TukDe kar ke phansi par chaDhaya jae 
ise yunan ke ek mashhur Daku ke bistar ki zarurat hai 
(wo apne sab shikaron ka qadd-o-qamat isi bistar ke paimane ki nisbat se ghaTata kaTta ya 
khinch ka jabran baDhata tha) 
KHutut-e-lab to dekho! 
kis tarah simTe hue hain, sang-e-dil 
aamiyana-pan tarawish kar raha hai 
ye kina-tuz aankhen 
in ki gahrai ke kichaD mein 
sunahri machhliyan ghote lagati hain 
rupahli shaKH tauba hai ki khulti banh hai, lekin 
koi saya nahin paDta! 
main apne KHol ke andar simaT kar baiTh rahna chahta hun 
mujhe minar ki khiDki se jhuk kar jhankne ki zarurat kuchh nahin hai 
magar wo fahisha zanjir-e-dar ki nind uDae ja rahi hai 
wo aankhen KHubsurat ban gai hain! 
mujhe 
KHamdar zinon se utar kar 
niche aana hi paDega
        Nazm
Bait-e-ankabut
Shamsur Rahman Faruqi

