badal gae ho
zara se arse mein aah kaise badal gae ho
tumhein KHabar hai
wo hath dharti ne kha liye hain
jinhon ne apni hatheliyon mein
hamari KHatir faqat duaen bhari hui thin
tumhein pata hai
wo honT miTTi mein jhaD rahe hain
hamare chehron pe jin ke bose juDe hue hain
wo aankhen andhi lahad mein shayad bikhar chuki hon
wo shab gae tak
hamari rahon mein apni kirnen bikherti thin
hamare nam ko numud de kar
zamin ko apna wajud de kar
kahan gae ho
zamin ke nam mein hamare paikar pighal gae hain
badal gae ho to aao dekho
ki hum bhi kitne badal gae hain
duaen miTTi mein gir paDi hain
KHuda se kaisi shikayaten hon
charagh sanson ne phunk Dala
hawa se kaisi shikayaten hon jo ghar mein Thahren to KHauf aae
ki apne paikar hain sae sae
safar pe niklen to rukte rukte
ki jaise ruKHsat karega koi
jo rah thakne lage to chupke se luT aaen
ki koi wapas nahin bulata
udas hon to kise bataen
gale se koi nahin laga hai
jo aainon se ulajh paDen to
ye kaun puchhe ki kya hua hai
jo tum ne badla hai rup aisa
to hum bhi waise nahin rahe hain
nahin rahe ho to hum bhi rahte hain yun ki
jaise nahin rahe hain

Nazm
Badal gae ho
Syed Mubarak Shah