is qadar shoKH nigahon se na dekho mujh ko
ghairat-e-husn pe ilzam na aa jae kahin
tum ne KHud bhi nahin samjha hai abhi tak jis ko
lab pe wo KHwahish be-nam na aa jae kahin
ye jo masum tamanna hai tumhaare dil mein
kitni sangin KHata hai ye tumhein kya malum
aur duniya mein mohabbat ke KHata-karon par
kis qadar zulm hua hai ye tumhein kya malum
apni bosida riwayat ke viranon mein
tishna ruhon ko bhaTakte nahin dekha tum ne
apni tahzib ke tarik sitam-KHanon mein
aarzuon ko sisakte nahin dekha tum ne
kitni lashen hain pas-e-madfan-e-namus yahan
apne ajdad ki tariKH uTha kar dekho
zinat-KHana jo be-ruh si taswiren hain
chiKH uTThengi zara hath laga kar dekho
apni duniya to tijarat ki wo manDi hai jahan
jism ki baat hi kya ruh bhi bik jati hai
dam lag jaen to kya ishwa-o-andaz-o-ada
pyar si shai sar-e-bazar chali aati hai
tum ko bhi ek na ek din yunhi bikna hoga
apne namus ki derina riwayat ke liye
koi tajir tumhein bazar se le jaega
apni banhon mein ghaDi bhar ki hararat ke liye
lauT jao ki yahan pyar ka hasil kya hai
nala-e-shab ke siwa aah-e-sahar dam ke siwa
aur kya dega zamana tumhein inam-e-wafa
aatish-e-gham ke siwa dida-pur-nam ke siwa
Nazm
Bazar
Shahid Akhtar