naddi ki lahren
sote sote
jaise ek dam jag paDin
aur jhapaT paDin
in gile gile
miTTi baalu kankar
patthar aur cement ke
pushton par
jin se un ko bandh ke
sab ne rakh chhoDa tha
lahak lahak kar
nach nach kar
shor machati
chaaron or
gali gali kuche kuche mein
gharon mein sehnon mein kamron baghon mein
kone kone mein wo
jhaT-paT
ghus aain
chaDh-dauDin
koi chiz na chhuTi un se
bartan, basan,
zewar, kapDe
kursi, mez,
kitaben
bhule-bisre
KHat pattar
taswiren
dastawezen
tahriren
bekar paDi chizen
wo jin ke hone ka bhi pata na tha
lahron ne un ko gher liya
daman mein apne
bhench liya
kichaD miTTi mein lat-pat kar Dala
aur sab kuchh le kar Dub gain!
phir jaise ik-dam aai thin,
waise hi har har karti
bal khati, iThlati,
nikal gain
2
ai kash, dilon mein ruhon mein
aisi ek chanchal baDh aae
bekar Daron ke Dheron par
himmat ki lahren bikhra de
KHud-gharzi ke sanduqon ko
ek jhaTka de kar ulTa de
phaDe lalach ki poTon ko
jalon ko jahl o shaqawat ke
aur zulm ki gandi makDi ko
chikni kalakh ko tassub ki
nabud kare napaid kare
yun nam kar de dil ki kheti
ummiden sab lahra uTThen
gulnar shagufe ulfat ke
sukhi jaanon se phuT paDen
ai kash dilon mein ruhon mein
aisi ek chanchal baDh aae
Nazm
Baadh
Sajjad Zaheer