chhae hue hain chaar taraf para-ha-e-abr
aaghosh mein liye hue duniya-e-ab-o-rang
mere liye hai un ki garaj mein surud-o-chang
paigham-e-imbisat hai mujh ko sada-e-abr
uTThi hai halke halke suron mein nawa-e-abr
aur qatr-ha-e-ab bajate hain jal-tarang
gahraiyon mein ruh ki jagi hai har umang
dil mein utar rahe hain mere naghm-ha-e-abr
muddat se luT chuke the tamanna ke bar-o-barg
chhaya hua tha ruh pe goya sukut-e-marg
chhoDa hai aaj zist ko KHwab-e-jumud ne
un baadalon se taza hui hai hayat phir
mere liye jawan hai ye kaenat phir
shadab kar diya hai dil un ke surud ne!
Nazm
Baadal
Noon Meem Rashid