ye kaun aa gaya ruKH-e-KHandan liye hue 
aariz pe rang-o-nur ka tufan liye hue 
bimar ke qarib ba-sad-shan-e-ehtiyat 
dildari-e-nasim-e-bahaaran liye hue 
ruKHsar par latif si ek mauj-e-sar-KHushi 
lab par hansi ka narm sa tufan liye hue 
peshani-e-jamil pe anwar-e-tamkanat 
tabindagi-e-subh-e-daraKHshan liye hue 
zulfon ke pech-o-KHam mein bahaaren chhupi hui 
ek karwan-e-nikhat-e-bustan liye hue 
aa hi gaya wo mera nigar-e-nazar-nawaz 
zulmat-kade mein sham-e-farozan liye hue 
ek ek ada mein saikaDon pahlu-e-dildahi 
ek ek nazar mein pursish-e-pinhan liye hue 
mere sawad-e-shauq ka KHurshid-e-nim-shab 
azm-e-shikast-e-mah-jabinan liye hue 
dars-e-sukun-o-sabr ba-in ehtamam-e-naz 
nishtar-zani-e-jumbish-e-mizhgan liye hue 
aankhon se ek rau si nikalti hui har aan 
gharqabi-e-hayat ka saman liye hue 
hilti hui nigah mein bijli bhari hui 
khilte hue labon mein gulistan liye hue 
ye kaun hai 'majaz' se sar-garm-e-guftugu 
donon hatheliyon pe zanaKHdan liye hue
        Nazm
Ayaadat
Asrar-ul-Haq Majaz

