tabish-e-KHurshid nur-e-mah pani ki jhalak
KHanda-e-qulqul sada koyal ki ghunchon ki chaTak
larzish-e-simab bijli ki taDap shaKHon ka loch
aql ki tezi tabiat ki upach shair ka soch
iztirab-e-mauj kanTon ki KHalish nagan ke bal
tir ki surat kaman ka ijz shamshiron ke phal
aab moti ki chamak kundan ki hire ki damak
ashrafi ka rup Taksali mahasil ki khanak
daman-e-kohsar ke manzar nawa-e-abshaar
shor-e-dariya karwaTen lahron ki sahil ka qarar
zamzame ka itr kaif-e-naghma lai ki puKHtagi
shorish-e-mai, laghzish-e-mai-nosh, josh-e-be-KHudi
aahu-e-ram-KHurda ki wahshat KHarare teziyan
gae ki sanjidgi jugnu ki aatish-reziyan
wadi-e-kashmir ki nuzhat gulon ka rang-o-bu
sarw ka qad kabk ki raftar qamri ka gulu
zulmat-e-sham-e-awadh subh-e-banaras ka nikhaar
aagre ke taj ki azmat himala ka waqar
somnati rifaten bhaarat ki tahzib-e-qadim
paTli-putra ki shohrat magdh ki shan-e-azim
dil-paziri-e-azan dildari-e-naqus-e-dair
sehan-e-masjid ka taqaddus partaw-e-fanus-e-dair
harbhajan ka faiz husn-e-e'tiqad-e-barhaman
kumbh ke mele ki zinat waqat-e-gang-o-jaman
barbat o chang o surud o arghanun ke zer-o-bam
dil-kashi pardon ki aawazon ke jadu tal sam
talKHi-e-anjam jab sab koshishen nakaam hon
KHushnuma sebon ki halki turshiyan jab KHam hon
dekh kar ye iqtibas-e-kar-gah-e-ins-o-jaan
kar-pardazan-e-qudarat mein huin sargoshiyan
ek bola imtizaj un ka qayamat saz hai
dusra kahne laga KHamosh koi raaz hai
ye anasir ek muddat tak rahe garm-e-amal
aaKHiri tahrik-e-ismat se hue aapas mein hal
subh-dam jab gosha gosha matla-e-anwar tha
zarra zarra aalam-e-nairang ka sarshaar tha
is murkkab ko usuli junbishen hone lagin
ye hayula irtiqai manzilen tai kar gaya
shah-par-e-parwaz iffat se bulandi par gaya
e'tidal-e-unsuri par pa liya jab iqtidar
ain-fitrat ke mutabiq shakl ki ek iKHtiyar
aai aaza mein gudazi aur garmi jism mein
aai ruKHsaron pe surKHi aur narmi jism mein
paya-e-takmil ko pahuncha junhi ye shahkar
dast-e-qudrat ne TaToli nabz us ki bar bar
bistar-e-nikhat pe ye putli jo mahw-e-KHwab thi
mast angDai ke hathon jag uThi sharma gai
dekh kar shair ne us ko nukta-e-hikmat kaha
aur be-soche zamane ne use aurat kaha
Nazm
Aurat
Shaad Aarfi