bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
diwar hai wo ab tak jis mein tujhe chunwaya
diwar ko aa toDen bazar ko aa Dhaen
insaf ki KHatir hum saDkon pe nikal aaen
majbur ke sar par hai shahi ka wahi saya
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
taqdir ke qadmon par sar rakh ke paDe rahna
taid-e-sitamgar hai chup rah ke sitam sahna
haq jis ne nahin chhina haq us ne kahan paya
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
kuTiya mein tera pichha ghurbat ne nahin chhoDa
aur mahl-sara mein bhi zardar ne dil toDa
uf tujh pe zamane ne kya kya na sitam Dhaya
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
tu aag mein ai aurat zinda bhi jali barson
sanche mein har ek gham ke chup-chap Dhali barson
tujh ko kabhi jalwaya tujh ko kabhi gaDwaya
bazar hai wo ab tak jis mein tujhe nachwaya
Nazm
Aurat
Habib Jalib