shaKH-e-zaitun par kam-suKHan faKHtaon ke itne basere ujaDe gae
aur hawa chup rahi
be-karan aasmanon ki pihnaiyan be-nasheman shikasta paron ki tag-o-taz par bain karti rahin
aur hawa chup rahi
zard parcham uData hua lashkar-e-be-aman gul-zaminon ko pamal karta raha
aur hawa chup rahi
aarzumand aankhen bashaarat-talab dil duaon ko uTThe hue hath sab be-samar rah gae
aur hawa chup rahi
aur tab habs ke qaharman mausamon ke azab in zaminon pe bheje gae
aur munadi kara di gai
jab kabhi rang ki KHushbuon ki uDanon ki aawaz ki aur KHwabon ki tauhin ki jaegi
ye azab in zaminon pe aate rahenge
Nazm
Aur hawa chup rahi
Iftikhar Arif