apne andar zara jhank mere watan
apne aibon ko mat Dhank mere watan
tera itihas hai KHun mein luthDa hua
tu abhi tak hai duniya mein bichhDa hua
tu ne apnon ko apna na mana kabhi
tu ne insan ko insan na jaana kabhi
tere dharmon ne zaton ki taqsim ki
teri rasmon ne nafrat ki talim di
wahshaton ka chalan tujh mein jari raha
qatl-o-KHun ka junun tujh pe tari raha
apne andar zara jhank mere watan
tu darawiD hai ya aariya nasl hai
jo bhi hai ab isi KHak ki fasl hai
rang aur nasl ke daere se nikal
gir chuka hai bahut der ab to sambhal
tere dil se jo nafrat na miT paegi
tere ghar mein ghulami palaT aaegi
teri barbaadiyon ka tujhe wasta
DhunD apne liye ab naya rasta
apne andar zara jhank mere watan
apne aibon ko mat Dhank mere watan
Nazm
Apne andar zara jhank mere watan
Sahir Ludhianvi