اردو हिंदी
Apahij gaDi ka aadmi | Shaahi Shayari
apahij gaDi ka aadmi

Nazm

Apahij gaDi ka aadmi

Akhtar-ul-Iman

;

kuchh aaise hain jo zindagi ko mah-o-sal se napte hain
gosht se sag se dal se napte hain

KHat-o-KHal se gesuon ki mahak chaal se napte hain
saubat se janjal se napte hain

ya apne aamal se napte hain
magar hum ise azm-e-pamal se napte hain

ye lamha jo guzra mere KHun ki us mein surKHi mili hai?
mere aansuon ka namak is ki lazzat mein shamil hua hai?

pasine se girdab-e-sahil hua hai?
ye la ka safar la rahega ki kuchh is ka hasil hua hai

ki jaise thi barson se waisi hi tishna-dili hai?
mein kab se zamin par zamin ki tarah chal raha hun

ye diwana andha safar kab kahan ja ke chhoDega mujh ko?
main is zindagi ki bahut si bahaaren ghiza ki tarah kha chuka hun

pahan oDh kar pairahan ki tarah phaD di hain
mein resham ka kiDa hun koe mein chhap jata hun Dar ke mare

isi koe ko khata rahta hun aur kaT kar is se aata hun bahar
aur apne jine ka maqsad sabab jaanna chahta hun

mera dil KHuda ki raza DhunDhta phir raha hai
mera jism lazzat ki justuju mein laga hai

guzargah-e-sham-o-sahar par kahin ek din main uga tha
nabaatat ki tarah jita hun is kargah-e-jahan mein

na ehsas iman iqan koi
na duniya mein shamil na KHud apni pahchan koi

gunah aur jahannam sawab aur jannat?
ye kyun hai ki be-muzad kuchh bhi nahin mil saka hai

na kal mil sakega
asatir farman-rawaon ke ahkaam aur sufiya ki karamat ke qisse

payambar ki dil-soziyon ke mazahir
qalam-band hain sab!

unhen hum ne tawiz ki tarah apne galon mein hamail kiya hai
inhen hum ne tah-KHanon ki koThari mein muqaffal kiya hai

jahan laDkhaDate hain in ki madad le ke chalte hain aage
magar raston ka tayyun nahin hai!

main bikhra hua aadmi hun
meri zehni bimariyon ka sabab ye zamin hai

main us din se Darta hun jab barf sari pighal kar
ise gharq kar de

nae aasmani hawadis
sifar mein badal den

ya aadmi apne aamal se KHud
ise ek kahani bana de

zamin shora pushton ki aamaj-gah ban gai hai
KHuda ek hai yun to wawian mein saf likkha hua hai

magar zer-e-wawain bhi chhoTi chhoTi bahut taKHtiyan hain
jali harf jin ke bahut ummaton ka pata de rahe hain

jo ye taKHtiyan apni gardan mein laTkae
zunnar pahne hue koi tasbih thame

apni gard-e-safar ke dhund mein lipTe chale ja rahe hain
zaitun ki shaKH tulsi ke patte

hawa mein uDe ja rahe hain
chiyunTiyon ki qataren qaran-dar-qaran

muKHtalif pech-dar-pech rahon se guzri chali ja rahi hain
saikaDon sar kaTe dhaD bahut raston par paDe hain

hawan ho rahe hain
yag ke mantron ki sada

aag mein jalne wali samagri ki bahut tez bu
har taraf phail kar bas gai hai hawa mein

aur wawain ki qaid mein jo KHuda hai
la-makan se

jo hota hai hota rahega
baiTha chup-chap sab dekhta hai

hum bhi kyun na KHuda ki tarah yunhi chup sadh len
peD paudon ki manind jite rahen

zabh hote rahen!
wo duaen jo barud ki bu mein bas kar

bhaTakti hui zer-e-arsh-e-barin phir rahi hain
unhen bhul jaen

zindagi ko KHuda ki ata jaan kar zehn mauf kar len
yawa-goi mein ya zehni hizyan mein KHud ko masruf kar len

un mein mil jaen jo zindagi ko
gosht se sag se dal se napte hain

mah-o-sal se napte hain
apna hi KHun pine lage hain

chaak-damaniyan gham se sine lage hain