shahr ke goshon mein hain bikhre hue
pa-shikasta sar-burida KHwab
jin se shahr wale be-KHabar!
ghumta hun shahr ke goshon mein roz o shab
ki un ko jama kar lun
dil ki bhaTTi mein tapaun
jis se chhaT jae purana mail
un ke dast-o-pa phir se ubhar aaen
chamak uTThen lab o ruKHsar o gardan
jaise nau-arasta dulhon ke dil ki hasraten
phir se in KHwabon ko samt-e-rah mile!
KHwab le lo KHwab
subh hote chauk mein ja kar lagata hun sada
KHwab asli hain ki naqli?
yun parakhte hain ki jaise un se baDh kar
KHwab-dan koi na ho!
KHwab-gar main bhi nahin
surat-gar-e-sani hun bas
han magar meri maishat ka sahaara KHwab hain!
sham ho jati hai
main phir se lagata hun sada
muft le lo muft, ye sone ke KHwab
muft sun kar aur Dar jate hain log
aur chupke se sarak jate hain log
dekhna ye muft kahta hai
koi dhoka na ho?
aisa koi shoabada pinhan na ho?
ghar pahunch kar TuT jaen
ya pighal jaen ye KHwab?
bhak se uD jaen kahin
ya hum pe koi sehr kar Dalen ye KHwab
ji nahin kis kaam ke?
aise kabaDi ke ye KHwab
aise na-bina kabaDi ke ye KHwab!
raat ho jati hai
KHwabon ke pulande sar pe rakh kar
munh bisore lauTta hun
raat bhar phir baDbaData hun
ye le lo KHwab
aur le lo mujh se in ke dam bhi
KHwab le lo, KHwab
mere KHwab
KHwab mere KHwab
KHwab
in ke dam bhi
Nazm
Andha kabaadi
Noon Meem Rashid