tere gham mein kitna nazuk ho gaya hai dil ki ab
is bhare bazar mein
har sada ek ajnabi ehsas ka aaina hai
aaj tere gham se farigh ho ke main
bah raha hun lazzat-e-izhaar ke sailab mein
laDkhaDate rengte langDate hanste bolte
lafz aur un ka dhuan KHushbu chamak
chal rahe hain mil ke be-ahang aawazon ke rang
ajnabi honTon ke lafz
aarzuon ke ghubare hasraton ki titliyan
chaar-su uDti hain main KHamosh hun
guftugu ke daeron mein phail kar
rang bharta ja raha hai un tamannaon ka KHun
jin ke lafzon ne zaban di sunne walon ka KHayal
un mein Duba ja raha hai bolte lafzon ka sahar
us ko apne dam mein lata hua
phail kar aata hai mujh tak pech-o-KHam khata hua
aur main
us ki kaifiyat ka ghaza apne chehre par lagae
ek nai aawaz ke sae mein hun
chahta hun band aankhon se main us sailab mein
kud jaun aur nazzara karun
apne kanon se dilon ke tarjuman alfaz ka
surat goya se baDh kar hai suKHan-andaz ka
nuqrai aawaz mein lafzon ka nur
apne hamrahi ke dil par naghma-bar
jaise shabnam daman-e-gul par gire be-iKHtiyar
is sada mein harf hain ya mom ke aansu hain jo
shama ke pahlu mein girte ja rahe hain kya karun
aankhen kholun aur us bachchi ki surat dekh lun
us sada mein naKHwat-e-zar ka jalal
jaise parbat se gire jharna koi
sang-e-aswad ki chaTanen toDna
dost ham-sin ham-suKHan
jin ke sada saf se andaz mein
koi mazi koi mustaqbil nahin
haal ke lamhat rangin qahqahe phulon ke haar
aur us aawaz mein
zist ki mahrumiyan zanjir dar zanjir hain
kholte lafzon ki bhap
dil ke aaine ko dhundlati hai hath
KHud-baKHud baDhta hai apni jeb ki jaanib magar
ye gada bhi to nahin
aur us aawaz mein hirs-o-hawas ka zahr hai
lafz tiron ki tarah uDte hue
sina-e-ehsas mein paiwast hote hain magar
dil se nafrat ke siwa koi sada uThti nahin
aur ye aawaz meri dost-dar dil teri aawaz hai
kitne naghme gunjte hain kitni raaton ka KHumar
kitne rangon ka talatum kitne phulon ki hansi
sarsaraate reshmin malbus ke manind ye teri sada
Dhanpti hai garmi-e-aghosh se parwaz mein
kho gai hain sari aawazen teri aawaz mein
Nazm
Anar-kali
Yusuf Zafar