laDakpan ki rafiq ai ham-nawa-e-naghma-e-tifli
hamari gyarah sala zindagi ki dil-nashin wadi
hamare zehn ki taKHil ki ehsas ki sathi
hamare zauq ki rahbar hamari aql ki hadi
hamare daman-e-afkar par tera hi saya hai
KHusha school ki hum ne tujhi se faiz paya hai
hamari dhaDkanen tere hi baam-o-dar mein pinhan hain
tere mahaul mein hum sab ke mahsusat ghaltan hain
hamari aarzuen tere dalanon mein raqsan hain
nuqush-e-ahd-e-rafta tere mathe par numayan hain
hamare waste tu ek lafani masarrat hai
hamein school tere zarre zarre se mohabbat hai
tere aaghosh mein bachpan ke hum ne din bitae hain
tere aangan mein kitna roe kitna muskurae hain
yahan masrur aankhon mein nae arman jagae hain
yahan masum honTon se tarane hum ne gae hain
tere sae mein bachpan ki suhani yaadgaren hain
hamare ahd-e-gum-gashta ke lamhon ki qataren hain
yahan se dosti ki kitni tamiren uThai hain
rafaqat ki hayat-afroz duniyaen basai hain
yahan par shoKHiyon ki be-karan maujen bahain hain
yahan bazmen sajai hain yahan dhumen machai hain
tere pahlu mein kitni hi anokhi wardaten hain
tere honTon pe kitni hi tabassum-rez baaten hain
tere daman se hum ne qimti lamhat pae hain
KHulus-o-unsiyat ke be-baha jazbaat pae hain
tere saghar se hum ne faiz ke juraat pae hain
hamari fikr ne tujh hi se rujhanat pae hain
tujhe pa kar jo paya hai use hum kho nahin sakte
tere hain tere apne hain parae ho nahin sakte
nae sazon pe jab tere tarane gae jaenge
nae ghunche tere gulzar mein jab muskuraenge
nai kirnon se jab tere dariche jagmagaenge
nae arman jab tujh mein nai jannat basaenge
nae sathi tere aangan mein jab dhumen machaenge
to shayad hum bhi ai school tujh ko yaad aaenge
ye mana zindagi hum ko bahut masruf kar degi
hamare zehn ko duniya ke andazon se bhar degi
hazaron masalon par dawat-e-fikr-o-nazar degi
ki jab thoDi si mohlat gardish-e-sham-o-sahar degi
gham-e-dauran se jab bhi fursat-e-yak-lamha paenge
teri yaadon mein kho jaenge KHud ko bhul jaenge
Nazm
Alwida
Abdul Ahad Saaz