ye lafz suqraat lafz isa
main in ka KHaliq ye mere KHaliq
yahi azal hain yahi abad hain yahi zaman hain yahi makan hain
ye zehn-ta-zehn rah-guzar hain ye ruh-ta-ruh ek safar hain
sadaqat-e-asr bhi yahi hain karahat-e-jabr bhi yahi hain
alamat-e-dard bhi yahi hain karamat-e-sabr bhi yahi hain
baghair tafriq-e-rang-o-mazhab zamin zamin in ki baadshahi
khinche hue hain lahu lahu mein bichhe hue hain zaban zaban par
ye jhuT bhi hain ye luT bhi hain ye jang bhi hain ye KHun bhi hain
magar ye majburiyan hain in ki
baghair in ke hayat sari tawahhumati
har ek harakat sukut Thahre
na kah saken kuchh na sun saken kuchh
har ek aaina apni akkasiyon pe hairan ho aur chup ho
nigah-e-nazzara-bin tamasha ho wahshaton ka
ijazat-e-jalwa de ke jaise zaban se goyai chhin li jae
na husn kuchh ho na ishq kuchh ho
tamam ehsas ki hawaen tamam irfan ke jazire tamam ye ilm ke samundar
sarab hon wahm hon guman hon
ye lafz tesha hain jin se afkar apni surat tarashte hain
masih-e-dast-o-qalam se niklen to phir ye alfaz bolte hain
yahi musawwir yahi hain but-gar yahi hain shaer
yahi mughanni yahi nawa hain
yahi payambar yahi KHuda hain
main kimiya hun ye kimiya-gar
ye mera kalyan chahte hain
main in ki tasKHir kar raha hun
ye meri tamir kar rahe hain
Nazm
Alfaz
Obaidullah Aleem