اردو हिंदी
Alfaz ki wiladat | Shaahi Shayari
alfaz ki wiladat

Nazm

Alfaz ki wiladat

Sadiq

;

us ne
ramte jogi ke aage

roTiyan rakh den
aur bahte pani ke samne

ek diwar khaDi kar ke
fatehana andaz mein kaha:

dekho! main ne donon ko rok diya hai
aur ab tumhaari bai hai

ye kah kar us ne
mere tamam rang kichaD mein ulaT diye

main ne dauD kar qalam uThana chaha
lekin us ne

mere hathon ke pahonche utarwa diye
main zor zor se chiKHne laga

to us ne meri zaban kaT kar phenk di
aur mujhe mazbut andheron se jakaD diya

salha-sal se
ghaTa-Top KHamoshiyan basar karta hua

main dekh raha hun
kichaD mein bikhre hue rangon ke bich

meri kaTi hui zaban
dard-e-zeh se taDap rahi hai

alfaz ki wiladat ka din
qarib aa gaya hai