اردو हिंदी
Ain | Shaahi Shayari
Ain

Nazm

Ain

Ali Mohammad Farshi

;

dusra kaun hai
kaun hai sath mere

andhere mein jis ka wajud
apne hone ke ehsas ki lau tez rakhte hue

mere sahme hue sans ki ras thame hue chal raha hai
diya ek ummid ka jal raha hai

kahin aabshaaron ke pichhe
ghani nind jaise andheron mein

sahra ki la-samt pahnai mein
panw dhanste hue

sans ruk ruk ke chalte hue
kitna bojhal hai wo

jis ko sahra ki ek samt se dusri samt mein
le ke jaane pe mamur hun

main rukun to zaman gardishen rok kar baiTh jae
aasman thak ke sahra ke bistar pe chit gir paDe

chal raha hun
bahut dhime dhime

qasam
chhe dinon ki

musalsal chalunga
main burraq se kya jalunga

bas ek soch mein dhans gaya tha
ki ye dusra kaun hai

koi haarun hai
ya ki haarut hai