KHun apna ho ya paraya ho
nasl-e-adam ka KHun hai aaKHir
jang mashriq mein ho ki maghrib mein
amn-e-alam ka KHun hai aaKHir
bam gharon par giren ki sarhad par
ruh-e-tamir zaKHm khati hai
khet apne jalen ki auron ke
zist faqon se tilmilati hai
tank aage baDhen ki pichhe haTen
kokh dharti ki banjh hoti hai
fath ka jashn ho ki haar ka sog
zindagi mayyaton pe roti hai
jang to KHud hi ek masala hai
jang kya masalon ka hal degi
aag aur KHun aaj baKHshegi
bhuk aur ehtiyaj kal degi
is liye ai sharif insano
jang Talti rahe to behtar hai
aap aur hum sabhi ke aangan mein
shama jalti rahe to behtar hai
2
bartari ke subut ki KHatir
KHun bahana hi kya zaruri hai
ghar ki tarikiyan miTane ko
ghar jalana hi kya zaruri hai
jang ke aur bhi to maidan hain
sirf maidan-e-kisht-o-KHun hi nahin
hasil-e-zindagi KHirad bhi hai
hasil-e-zindagi junun hi nahin
aao is tira-baKHt duniya mein
fikr ki raushni ko aam karen
amn ko jin se taqwiyat pahunche
aisi jangon ka ehtimam karen
jang wahshat se barbariyyat se
amn tahzib o irtiqa ke liye
jang marg-afrin siyasat se
amn insan ki baqa ke liye
jang iflas aur ghulami se
amn behtar nizam ki KHatir
jang bhaTki hui qayaadat se
amn be-bas awam ki KHatir
jang sarmae ke tasallut se
amn jamhur ki KHushi ke liye
jang jangon ke falsafe ke KHilaf
amn pur-amn zindagi ke liye
Nazm
Ai sharif insano
Sahir Ludhianvi