sabza sabza sukh rahi hai phiki zard dopahar
diwaron ko chaT raha hai tanhai ka zahr
dur ufuq tak ghaTti baDhti uThti rahti hai
kohr ki surat be-raunaq dardon ki gadli lahr
basta hai is kohr ke pichhe raushniyon ka shahr
ai raushniyon ke shahr
kaun kahe kis samt hai teri raushniyon ki rah
har jaanib be-nur khaDi hai hijr ki shahr-panah
thak kar har su baiTh rahi hai shauq ki mand sipah
aaj mera dil fikr mein hai
ai raushniyon ke shahr
shab-KHun se munh pher na jae armanon ki rau
KHair ho teri lailaon ki un sab se kah do
aaj ki shab jab diye jalaen unchi rakkhen lau
Nazm
Ai raushniyon ke shahr
Faiz Ahmad Faiz