mere ajdad ka watan ye shahr
meri talim ka jahan ye maqam
mere bachpan ki dost ye galiyan
jin mein ruswa hua shabab ka nam
yaad aate hain in fazaon mein
kitne nazdik aur dur ke nam
kitne KHwabon ke malgaje chehre
kitni yaadon ke marmarin ajsam
kitne hangame kitni tahriken
kitne nare jo the zaban zad-e-am
main yahan jab shuur ko pahuncha
ajnabi qaum ki thi qaum ghulam
union jaik dars-gah pe tha
aur watan mein tha samraji nizam
isi miTTi ko hath mein le kar
hum bane the baghawaton ke imam
yahin jaanche the dharm ke wishwas
yahin parkhe the din ke auham
hain munkir bane riwayat ke
yahin toDe riwaj ke asnam
yahin nikhra tha zauq-e-naghma-gari
yahin utra tha sher ka ilham
main jahan bhi raha yahin ka raha
mujh ko bhule nahin hain ye dar-o-baam
nam mera jahan jahan pahuncha
sath pahuncha hai is dayar ka nam
main yahan mezban bhi mehman bhi
aap jo chahen dijiye mujhe nam
nazr karta hun un fazaon ki
apna dil apni ruh apna kalam
aur faizan-e-ilm jari ho
aur uncha ho is dayar ka nam
aur shadab ho ye arz-e-hasin
aur mahke ye wadi-e-gulfam
aur ubhren sanam-gari ke nuqush
aur chhalken mai-e-suKHan ke jam
aur niklen wo be-nawa jin ko
apna sab kuchh kahen watan ke awam
qafile aate jate rahte hain
kab hua hai yahan kisi ka qayam
nasl-dar-nasl kaam jari hai
kar-e-duniya kabhi hua na tamam
kal jahan main tha aaj tu hai wahan
ai nai nasl tujh ko mera salam
Nazm
Ai nai nasl
Sahir Ludhianvi