ek umr ke baad tum mile ho
ai mere watan ke KHush-nawao
har hijr ka din tha hashr ka din
dozaKH the firaq ke alao
roun ki hansun samajh na aae
hathon mein hain phul dil mein ghao
tum aae to sath hi tumhaare
bichhDe hue yar yaad aae
ek zaKHm pe tum ne hath rakkha
aur mujh ko hazar yaad aae
wo sare rafiq pa-ba-jaulan
sab kushta-e-dar yaad aae
hum sab ka hai ek hi qabila
ek dasht ke sare ham-safar hain
kuchh wo hain jo dusron ki KHatir
aashufta-nasib o dar-ba-dar hain
kuchh wo hain jo KHilat-o-qaba se
aiwan-e-shahi mein mo'tabar hain
suqraat o masih ke fasane
tum bhi to bahut suna rahe the
mansur o husain se aqidat
tum bhi to bahut jata rahe the
kahte the sadaqaten amar hain
auron ko yahi bata rahe the
aur ab jo hain ja-ba-ja saliben
tum bansuriyan baja rahe ho
aur ab jo hai karbala ka naqsha
tum madh-e-yazid ga rahe ho
jab sach tah-e-tegh ho raha hai
tum sach se nazar chura rahe ho
ji chahta hai ki tum se puchhun
kya raaz is ijtinab mein hai
tum itne kaThor to nahin the
ye be-hisi kisi hisab mein hai
tum chup ho to kis tarah se chup ho
jab KHalq-e-KHuda azab mein hai
socho to tumhein mila bhi kya hai
ek luqma-e-tar qalam ki qimat
ghairat ko faroKHt karne walo
ek kasa-e-zar qalam ki qimat
pindar ke tajiro batao
darban ka dar qalam ki qimat
nadan to nahin ho tum ki samjhun
ghaflat se ye zahr gholte ho
thame hue maslahat ki mizan
har sher ka wazn taulte ho
aise mein sukut, chashm-poshi
aisa hai ki jhuT bolte ho
ek umr se adl o sidq ki lash
ghasib ki salib par jaDi hai
is waqt bhi tum ghazal-sara ho
jab zulm ki har ghaDi kaDi hai
jangal pe lapak rahe hain shole
taus ko raqs ki paDi hai
hai sab ko aziz ku-e-jaanan
is rah mein sab jiye mare hain
han meri bayaz-e-sher mein bhi
barbaadi-e-dil ke marsiye hain
main ne bhi kiya hai TuT kar ishq
aur ek nahin kai kiye hain
lekin gham-e-ashiqi nahin hai
aisa jo subuk-sari sikhae
ye gham to wo KHush-maal gham hai
jo koh se ju-e-shir lae
teshe ka hunar qalam ko baKHshe
jo qais ko kohkan banae
ai hila-garan-e-shahr-e-shirin
aaya hun pahaD kaT kar main
hai be-watani gawah meri
har-chand phira hun dar-ba-dar main
becha na ghurur-e-nai-nawazi
aisa bhi na tha subuk hunar mein
tum bhi kabhi ham-nawa the mere
phir aaj tumhein ye kya hua hai
miTTi ke waqar ko na becho
ye ahd-e-sitam jihad ka hai
daryuza-gari ke maqbaron se
zindan ki fasil KHushnuma hai
kab ek hi rut rahi hamesha
ye zulm ki fasl bhi kaTegi
jab harf kahega qum-be-izni
marti hui KHak ji uThegi
laila-e-watan ke pairahan mein
barud ki bu nahin rahegi
phir bandhenge abruon ke dohe
phir madh-e-ruKH-o-dahan kahenge
Thahraenge un labon ko matla
jaanan ke liye suKHan kahenge
afsana-e-yar o qissa-e-dil
phir anjuman anjuman kahenge
Nazm
Ai mere watan ke KHush-nawao
Ahmad Faraz